AANIS MOIN – his poetry immortalises him. A life tragically cut short in his 27th year on 4th February 1986
ho jā.egī jab tum se shanāsā.ī zarā aur
baḌh jā.egī shāyad mirī tanhā.ī zarā aur
kyuuñ khul ga.e logoñ pe mirī zaat ke asrār
ai kaash ki hotī mirī gahrā.ī zarā aur
phir haath pe zaḳhmoñ ke nishāñ gin na sakoge
ye uljhī huī Dor jo suljhā.ī zarā aur
tardīd to kar saktā thā phailegī magar baat
is taur bhī hogī tirī rusvā.ī zarā aur
kyuuñ tark-e-ta.alluq bhī kiyā lauT bhī āyā?
achchhā thā ki hotā jo vo harjā.ī zarā aur
hai diip tirī yaad kā raushan abhī dil meñ
ye ḳhauf hai lekin jo havā aa.ī zarā aur
laḌnā vahīñ dushman se jahāñ gher sako tum
jītoge tabhī hogī jo paspā.ī zarā aur
baḌh jā.eñge kuchh aur lahū bechne vaale
ho jaa.e agar shahr meñ mahñgā.ī zarā aur
ik Dūbtī dhaḌkan kī sadā log na sun leñ
kuchh der ko bajne do ye shahnā.ī zarā aur.
Suicide note of Pakistani Poet Aanis Moeen
kisi ko kisi ki jalaalat maarti hai toh kisi ko kisi ki zahaanat… RIP Aanis Moin sahab
Zindagi se zyada azeez Ammi aur pyare abbu jaanKhuda aapko humesha salaamt rakheMeri is harkat ki sivaaye iske koi aur wajah nahin ki main zindagi ki yaksaniyat se ukta gaya hoon…. kitaab-e hayat ka jo safha ulatTa hoon us par wohi tehreer nazar aati hai jo pichhle safhe pe padh chuka hota hoon… is liye maine dher saare oraq chhod kar woh tehreer padhne ka faisla kya jo aakhri safhe pe likhi hui hai…. Mujhe na toh ghar walon se shikayat hai, na daftar ya baahar walon se… balky logon ne toh mujhe itni mohabbat ki hai ki main iska mustahik bhi nahin tha. Logon ne agar mere saath koi zyaadati ki bhi hai ya kisi ne mera kuchh dena hai toh main woh muaaf karta hoon.. KHUDA meri bhi zyaadtiyon aur gunaahon ko muaaf farmaaye.. Aur aakhir mein ek khaas baat woh ye ki _________ aakhir mere paas RAAH-E -KHUDA mein dene ko kuchh bhi nahin hai… so main apni aankhen eye bank ko donate karta hoon… mere baad yeh aankhen kisi mustahiq shakhs ko laga di jaayen toh meri rooh ko haqeeqi sukun haasil ho sakne ki umeed hai. Marne ke baad mujhe aapki duaon ki pehle se zyada zaroorat rahegi.. albatta ghair’zaroori rasomat par Paisa kharch karne ki zaroorat nahin hai maine kuchh rupaiya aamna ke paas isi liye rakhva diye hain ki is mauqe pe kaam aa saken….
Aapka nalaayaq beta
Anis Moin
Aslam Khan building Multan