Syed Ahmad Shah better known by his pen name Ahmed Faraz, 12 January 1931 – 25 August 2008 Urdu poet & scriptwriter and chairman of Pakistan Academy of Letters. During his lifetime, he criticised military rule and was arrested for writing poems that criticised military rulers in Pakistan. . Subsequently, he went into self-imposed exile and stayed for 6 years in Britain, Canada, and Europe before returning to Pakistan His contribution to poetry and Urdu literature places him in the frontline of Urdu poets of the 20th century and brought him numerous national and international awards.

He was greatly influenced by Faiz Ahmad Faiz and Ali Sardar Jafri  whom he met during his college days and considered to be his role models. His Ghazals were sung by many singers including Mehdi Hasan who sang the popular Ghazal, Ranjish hi sahi.

CHOICE SHAYARI

  • ranjish hī sahī dil hī dukhāne ke liye aa

aa phir se mujhe chhoḌ ke jaane ke liye aa

 

  • ab ke ham bichhḌe to shāyad kabhī ḳhvāboñ meñ mileñ

jis tarah sūkhe hue phuul kitāboñ meñ mileñ

 

  • dil ko tirī chāhat pe bharosa bhī bahut hai

aur tujh se bichhaḌ jaane kā Dar bhī nahīñ jaatā

 

  • kis kis ko batā.eñge judā.ī kā sabab ham

tū mujh se ḳhafā hai to zamāne ke liye aa

 

  • huā hai tujh se bichhaḌne ke ba.ad ye ma.alūm

ki tū nahīñ thā tire saath ek duniyā thī

 

  • tum takalluf ko bhī iḳhlās samajhte ho ‘farāz’

dost hotā nahīñ har haath milāne vaalā

 

  • zindagī se yahī gila hai mujhe

tū bahut der se milā hai mujhe

 

  • aañkh se duur na ho dil se utar jā.egā

vaqt kā kyā hai guzartā hai guzar jā.egā

 

  • agar tumhārī anā hī kā hai savāl to phir

chalo maiñ haath baḌhātā huuñ dostī ke liye

 

  • is se pahle ki be-vafā ho jaa.eñ

kyuuñ na ai dost ham judā ho jaa.eñ

 

  • ham ko achchhā nahīñ lagtā koī hamnām tirā

koī tujh sā ho to phir naam bhī tujh sā rakkhe

 

  • aur ‘farāz’ chāhiyeñ kitnī mohabbateñ tujhe

maaoñ ne tere naam par bachchoñ kā naam rakh diyā

 

  • dil bhī pāgal hai ki us shaḳhs se vābasta hai

jo kisī aur kā hone de na apnā rakkhe

 

  • ab aur kyā kisī se marāsim baḌhā.eñ ham

ye bhī bahut hai tujh ko agar bhuul jaa.eñ ham

 

  • ġham-e-duniyā bhī ġham-e-yār meñ shāmil kar lo

nashsha baḌhtā hai sharābeñ jo sharāboñ meñ mileñ

 

  • ab dil kī tamannā hai to ai kaash yahī ho

aañsū kī jagah aañkh se hasrat nikal aa.e

 

  • maiñ kyā karūñ mire qātil na chāhne par bhī

tire liye mire dil se duā nikaltī hai

 

  • is qadar musalsal thiiñ shiddateñ judā.ī kī

aaj pahlī baar us se maiñ ne bevafā.ī kī

 

  • umr bhar kaun nibhātā hai ta.alluq itnā

ai mirī jaan ke dushman tujhe allāh rakkhe

 

 

 

                                                   Ahmed Faraz

Faraz

Ghazal Singer Ustad Shakeel Ahmed sings Ranjish hi Sahi, Ghazal of Ahmed Faraz